Leave Application Letter Kaise Likhe With Example

Share:



    Leave Application Letter Kaise Likhe


    Hello dosto! Kaise ho aap log. Sab kuchh thik thak toh chal raha hain na. Ummid karte hain acche hi honge. Toh chaliye ab hum apne aaj ke title ki or badhte hain. Dosto, aaj ke humare iss post ka topic hain Leave application letter kaise likhe. Agar aap log ek college ya school student hain toh aap logo ke liye yeh jankari bahut hi jada important hain. Isiliye aap log iss lekh ko zara bhi ignore mat kijiye aur jab abhi mouka mila hain toh aap log leave application likhna sikh lijiye.

    Hum toh humesha yahi chahenge ki aap log kabhi bhi kisi tarah ki jankari ke anjan rahe. Isiliye hum humesha apne lekh ke madhyam se aap logo ko koi na koi naya jankari dene ka prayas karte hain. Aap logo se bhi request karte rahte hain ki aap log humare har ek article ko regularly read karte rahiye. Taki aap logo ko koi na koi cheez ke bare main jankari milta hain. Isiliye aaj bhi aap logo se yeh request hain ki aap log humare aaj ke iss post ko acchi tarah se read kariye aur Leave application letter kaise likhe iss bare main proper jankari hasil kar lijiye.

    Kise likhna he


    Kyun ki aap logo ko ek leave application letter write karna hain toh zahir si baat hain ki yeh application aapko apne headmaster ya principal ke paas hi likhna hain. Lekin yeh zaruri nahi hain ki hum sirf headmaster/ principal ke paas hi leave application letter likhenge. Hum bahut se jagaho par leave ke liye jab apply karte hain tab leave application letter likhkar waha par submit karna padta hain.

    Aaj hum aap yahi sikhayenge ki school ya college ke principal sir ya headmaster ke paas Leave application letter kaise likhe. Toh chaliye jante hain ki leave application kaise likh sakte hain.


    "To" likhna he jaruri


    Agar aapko ek application likhna hain fir chahe woh application kisi bhi reason ke liye likh rahe ho toh aapko sabse pahle "To" likhna hoga. To likhna kisi bhi application ko write karne ke liye bahut zaruri hain. Agar aap log to nahi likhenge toh aap logo ka application complete nahi hoga. Toh aap log sabse pahle To likhe.

    Date Likhe


    "To" likhne ke baad aap logo ko uske niche wale line main aap logo ko date likhna hain. Uske baad aap logo ko uske niche ki line main The headmaster ya headmistress ya fir principal bhi likh sakte hain. Agar aapki principal female hain toh aap log headmaster bhi likh sakte hain aur headmistress bhi likh sakte hain aur principal bhi likh sakte hain. Aur agar aapka principal male hain toh aap log headmaster bhi likh sakte hain aur principal bhi likh sakte hain. Toh iss tarah se aapko likhne hain.


    School ya college ka name


    Ab niche ki line main aap apne school ya college ka name likhna hain. School ya college ka name likhna jab ho jaye toh end main aap log address bhi likh de. Lekin yaad rahe address aap logo ko bahut short main likhna hain.


    Subject Line


    Ab bari hain subject likhne ki! Subject main aap logo ko likhna hain ki aap log iss application ko kyu ya kis liye write kar rahe ho. In short yaha par aap logo ko apne application likhne ka reason likhna hain. Aap log niche ki line main sabse pahle "Sub" likhe aur uske baad ek desh "---" dekar apne application likhne ka reason likh de.

    Wese iss tarah se samjhane par ho sakta hain ki aap logo ko acchi tarah se samajh main nahi aa raha ho isiliye hum niche ek example bhi denge. Toh agar iss tarah se samajhne main aap logo ko pareshaani ho rahi hain toh aap log niche diye gaye example ko read karke apne confusion ko clear kar sakte hain.

    Letter ki shuruaat


    Ab aap logo ko uss line main aur kuchh nahi likhna hain. Ab niche ki line main aapko respected ke sath sir ya madam likhna hain. Agar aap logo ka principal male hain toh aap respected ke sath sir likhe aur aap logo ki principal female hain toh aap log respected ke sath ma'am ya madam likhe.


    Main paragraph and end


    Ab niche ki line main aap log apna request ya prayer likh de. Bas ho gaya aap logo ka leave application. Lekin rukiye! Abhi aap logo application complete nahi hua hain. Iske baad aap logo ko niche ki line ke right side main "yours faithfully" likh dena hain aur uske baad apna name, class, roll number etc. Likh dena hain.

    Congratulations! Aap logo ka leave application letter complete ho gaya. Hain na asan leave application letter likhna. Bas thoda sa focus karne ki zarurat hain aur aap log easily leave application likhna sikh lenge. Toh bas aap log iss lekh ko follow karte rahiye.


    Toh chaliye ab example se samajhte he ki Leave application letter kaise likhe.

    To

    Date -   /   /

     The headmaster/headmistress

     BN college (Dhubri)

    Subject :- Prayer for leave after 1st period for my illness.

    Respected sir/ma'am,

          With due respect I inform you that I have been suffering from headache & fever for last half hour, while I am being unable to attend in class for the next periods due to physical weakness & illness.

            So I request you to grant & consider my prayer on your sympathy.

     Yours faithfully,

    Firstname Lastname

    Class - BA 4th Sem

     Roll no - XX

    Toh dosto! Samajh main aa gaya na aap logo ko ki Leave application letter kaise likhe. Hume apne article ko bahut hi saral bhasha main likhne ka prayas kiya hain. Taki aap logo ko yeh samajhne main zara bhi pareshaani na ho ki leave application letter kaise likha jata hain. Aur aap logo ko leave application likhna acchi tarah se aa jaye. Hum dil se bas yahi chahte hain ki aap log kisi bhi kshetra main pichhe na rahe aur humesha har cheez ki jankari aap logo ke paas ho.

    Isiliye hum aap logo se yeh request karte hain ki aap log iss pure post ko acchi tarah se read kariye. Iss lekh main jo tricks diye gaye hain unn tricks ko acchi tarah se follow kariye. Hume puri ummid hain ki iss lekh ko acchi tarah se read karne ke baad aap logo ko leave application likhna acchi tarah se aa jayega. Aap log bina kisiki help liye leave application letter likh sakenge.

    how to